chehre pe kisi karb ki tanwir nahin ki
chehre pe kisī karb kī tanvīr nahīñ kī
mahsūs hī karte rahe tafsīr nahīñ kī
qadmoñ ko haqīqat kī zamīñ par hī dharā hai
ḳhush-fahmī kī jannat kabhī ta.amīr nahīñ kī
vaa.iz ke kabhī naqsh-e-qadam par na chale ham
ḳhud kar ke dikhāyā kabhī taqrīr nahīñ kī
ma.asūm charāġhoñ ko havāoñ ne bujhāyā
kyoñ bhaḌke hue sho.aloñ pe tāzīr nahīñ kī
us kī hī kahī baat ko duniyā ne navāzā
jis ne kabhī iz.hār meñ tāḳhīr nahīñ kī
kis tarah zamāne ko ḳhabar ho ga.ī is kī
vo baat jo ash.ār meñ tahrīr nahīñ kī
kuchh ḳhvāb jo me.arāj the hastī ke 'tabassum'
un ḳhvāboñ kī mailī kabhī ta.abīr nahīñ kī
chehre pe kisi karb ki tanwir nahin ki
mahsus hi karte rahe tafsir nahin ki
qadmon ko haqiqat ki zamin par hi dhara hai
KHush-fahmi ki jannat kabhi tamir nahin ki
waiz ke kabhi naqsh-e-qadam par na chale hum
KHud kar ke dikhaya kabhi taqrir nahin ki
masum charaghon ko hawaon ne bujhaya
kyon bhaDke hue shoalon pe tazir nahin ki
us ki hi kahi baat ko duniya ne nawaza
jis ne kabhi izhaar mein taKHir nahin ki
kis tarah zamane ko KHabar ho gai is ki
wo baat jo ashaar mein tahrir nahin ki
kuchh KHwab jo mearaj the hasti ke 'tabassum'
un KHwabon ki maili kabhi tabir nahin ki
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.