chehre pe mere ab wo raunat nahin rahi
chehre pe mere ab vo ra.ūnat nahīñ rahī
ā.īna dekhne kī zarūrat nahīñ rahī
qaabū meñ phir hamārī ibādat nahīñ rahī
virse meñ jo milī thī imārat nahīñ rahī
sad shukr apne paañv pe chalne lagā huuñ maiñ
baisākhiyoñ kī mujh ko zarūrat nahīñ rahī
jīvan hai jaise dhuup meñ dīmak-zada kitāb
jis ke varaq ulaTne kī himmat nahīñ rahī
ilm-o-hunar sadāqat-o-mehr-o-vafā ḳhulūs
bāzār meñ kisī kī bhī qīmat nahīñ rahī
sotā huuñ āñkheñ muuñd ke bhīgī zamīn par
achchhā hai mere sar pe koī chhat nahīñ rahī
kāsa-ba-dast ghuum rahī haiñ sharāfateñ
ab un ko muñh chhupāne kī hājat nahīñ rahī
sach bolnā tapāk se milnā har ek se
jazbe ye vo haiñ jin meñ harārat nahīñ rahī
kaa.ī kī ik chaTān pe Thahrā huā huuñ maiñ
pairoñ ko ab phisalne kī aadat nahīñ rahī
chehre pe mere ab wo raunat nahin rahi
aaina dekhne ki zarurat nahin rahi
qabu mein phir hamari ibaadat nahin rahi
wirse mein jo mili thi imarat nahin rahi
sad shukr apne panw pe chalne laga hun main
baisakhiyon ki mujh ko zarurat nahin rahi
jiwan hai jaise dhup mein dimak-zada kitab
jis ke waraq ulaTne ki himmat nahin rahi
ilm-o-hunar sadaqat-o-mehr-o-wafa KHulus
bazar mein kisi ki bhi qimat nahin rahi
sota hun aankhen mund ke bhigi zamin par
achchha hai mere sar pe koi chhat nahin rahi
kasa-ba-dast ghum rahi hain sharafaten
ab un ko munh chhupane ki hajat nahin rahi
sach bolna tapak se milna har ek se
jazbe ye wo hain jin mein hararat nahin rahi
kai ki ek chaTan pe Thahra hua hun main
pairon ko ab phisalne ki aadat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.