chehre se mera dard koi bhanp raha hai
chehre se mirā dard koī bhāñp rahā hai
khul jaa.e kahīñ raaz na dil kaañp rahā hai
ehsās judā.ī kā yuuñ Dastā rahā shab bhar
jaise mire siine meñ koī saañp rahā hai
jab qatl kī sāzish meñ mulavvis vo nahīñ thā
phir aañkh milāte hue kyoñ kaañp rahā hai
kyā us se rakhūñ rāhnumā.ī kī tavaqqo
kuchh duur hī chal kar jo bahut haañp rahā hai
kis tarah 'shakīl' aap ko vo qatl karegā
talvār uThāte hue jo kaañp rahā hai
chehre se mera dard koi bhanp raha hai
khul jae kahin raaz na dil kanp raha hai
ehsas judai ka yun Dasta raha shab bhar
jaise mere sine mein koi sanp raha hai
jab qatl ki sazish mein mulawwis wo nahin tha
phir aankh milate hue kyon kanp raha hai
kya us se rakhun rahnumai ki tawaqqo
kuchh dur hi chal kar jo bahut hanp raha hai
kis tarah 'shakil' aap ko wo qatl karega
talwar uThate hue jo kanp raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.