chehre se numayan hai ek ek ada gham ki
chehre se numayan hai ek ek ada gham ki
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
chehre se numāyāñ hai ek ek adā ġham kī
insāñ jise kahte haiñ tasvīr hai mātam kī
kyoñ ham ko Darāte ho āshob-e-jahannum se
duniyā bhī to āḳhir hai ik shakl jahannum kī
majbūrī-o-māzūrī mahrūmī-o-nākāmī
āḳhir koī had bhī hai is silsila-e-ġham kī
har aan muqābil hai ye mahr-e-daraḳhshāñ ke
jur.at to koī dekhe ik qatra-e-shabnam kī
jannat se nikal kar phir jannat na milī us ko
kyā kyā abhī likkhā hai taqdīr meñ aadam kī
darkār hai getī ko phir taaza lahū shāyad
surḳhī yahī kahtī hai afsāna-e-ālam kī
girdāb meñ ai 'jauhar' ye kis kā safīna hai
maujoñ ke talātum meñ āvāz hai mātam kī
chehre se numayan hai ek ek ada gham ki
insan jise kahte hain taswir hai matam ki
kyon hum ko Daraate ho aashob-e-jahannum se
duniya bhi to aaKHir hai ek shakl jahannum ki
majburi-o-mazuri mahrumi-o-nakaami
aaKHir koi had bhi hai is silsila-e-gham ki
har aan muqabil hai ye mahr-e-daraKHshan ke
jurat to koi dekhe ek qatra-e-shabnam ki
jannat se nikal kar phir jannat na mili us ko
kya kya abhi likkha hai taqdir mein aadam ki
darkar hai geti ko phir taza lahu shayad
surKHi yahi kahti hai afsana-e-alam ki
girdab mein ai 'jauhar' ye kis ka safina hai
maujon ke talatum mein aawaz hai matam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.