chehre tak un ke mast gai be-KHabar gai
chehre tak un ke mast ga.ī be-ḳhabar ga.ī
jab jab ga.ī nigāh ba-nau-e-digar ga.ī
dushvār ho ga.e haiñ ishāre bhī zo'f meñ
is kaam se bhī ab to hamārī nazar ga.ī
sāmān-e-ġham bhī hijr kī shab muntashir huā
taḌpe to āñsuoñ kī laḌī bhī bikhar ga.ī
go jis kī justujū thī vo yūsuf nahīñ milā
lekin mirī nigāh se duniyā guzar ga.ī
yūsuf ko saste daam zuleḳhā ne le liyā
taqdīr thī ki husn kī qīmat Thahar ga.ī
chehre tak un ke mast gai be-KHabar gai
jab jab gai nigah ba-nau-e-digar gai
dushwar ho gae hain ishaare bhi zo'f mein
is kaam se bhi ab to hamari nazar gai
saman-e-gham bhi hijr ki shab muntashir hua
taDpe to aansuon ki laDi bhi bikhar gai
go jis ki justuju thi wo yusuf nahin mila
lekin meri nigah se duniya guzar gai
yusuf ko saste dam zuleKHa ne le liya
taqdir thi ki husn ki qimat Thahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.