chehron pe KHamushi ki lau ruh se ham-kalam hain
chehroñ pe ḳhāmushī kī lau ruuh se ham-kalām haiñ
ya.anī jo ġharq-e-ishq haiñ un ko mire salām haiñ
ḳhalvat-e-dil tire liye ā.ūñgī jald lauT ke
milne ko aa.e mehmāñ ghar ke do chaar kaam haiñ
kaise haiñ mere aqrabā kaisī huuñ maiñ patā nahīñ
bāteñ haiñ ḳhud se raat din bhūle tamām naam haiñ
roz-e-azal se haiñ judā aql-o-junūñ ke rāste
ya.anī tire ḳhayāl meñ donoñ ke ek daam haiñ
ishq kī avvalīn shart hai kūcha-e-yār se nikal
hosh se be-niyāz ho bhuul jā sub.h-o-shām haiñ
kār-e-firāq-o-hijr to ujlat kā kaam hī nahīñ
lamhe tire ḳhayāl ke tujh se bhī tez-gām haiñ
chehron pe KHamushi ki lau ruh se ham-kalam hain
yani jo gharq-e-ishq hain un ko mere salam hain
KHalwat-e-dil tere liye aaungi jald lauT ke
milne ko aae mehman ghar ke do chaar kaam hain
kaise hain mere aqraba kaisi hun main pata nahin
baaten hain KHud se raat din bhule tamam nam hain
roz-e-azal se hain juda aql-o-junun ke raste
yani tere KHayal mein donon ke ek dam hain
ishq ki awwalin shart hai kucha-e-yar se nikal
hosh se be-niyaz ho bhul ja subh-o-sham hain
kar-e-firaq-o-hijr to ujlat ka kaam hi nahin
lamhe tere KHayal ke tujh se bhi tez-gam hain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.