chha gaya mere muqaddar pe andhera ai dost
chhā gayā mere muqaddar pe añdherā ai dost
tū ne shānoñ pe jo gesū ko bikherā ai dost
yuuñ shab-e-ġham meñ tirī yaad dabe paañv aa.ī
tīrgī se ho numū jaise saverā ai dost
maiñ to ḳhāmosh thā chup rah na sake zaḳhm ke lab
maiñ ne samjhā hai sadā tujh ko masīhā ai dost
ek shabnam hī jahāñ raat ga.e rotī hai
dil huā merā misāl-e-gul-e-sahrā ai dost
vo nishāñ ahl-e-ḳhirad kahte haiñ jis ko manzil
naqsh-e-pā se hai junūñ ke vo huvaidā ai dost
kashtī-e-zīst ko hāsil huī girdāb-e-amīq
bahr-e-ulfat meñ milā kis ko kinārā ai dost
tere gesū mirī uljhan ke ḳhatāvār nahīñ
tū ne un ko to ka.ī baar sañvārā ai dost
luT gayā ab to matā.a-e-ġham-e-tanhā.ī bhī
kis adā se tirī yādoñ ne pukārā ai dost
phir ye charchā hai vo ā.eñge sar-e-bazm 'vahīd'
chhuT na jaa.e kahīñ dāmān-e-shakebā ai dost
chha gaya mere muqaddar pe andhera ai dost
tu ne shanon pe jo gesu ko bikhera ai dost
yun shab-e-gham mein teri yaad dabe panw aai
tirgi se ho numu jaise sawera ai dost
main to KHamosh tha chup rah na sake zaKHm ke lab
main ne samjha hai sada tujh ko masiha ai dost
ek shabnam hi jahan raat gae roti hai
dil hua mera misal-e-gul-e-sahra ai dost
wo nishan ahl-e-KHirad kahte hain jis ko manzil
naqsh-e-pa se hai junun ke wo huwaida ai dost
kashti-e-zist ko hasil hui girdab-e-amiq
bahr-e-ulfat mein mila kis ko kinara ai dost
tere gesu meri uljhan ke KHatawar nahin
tu ne un ko to kai bar sanwara ai dost
luT gaya ab to mataa-e-gham-e-tanhai bhi
kis ada se teri yaadon ne pukara ai dost
phir ye charcha hai wo aaenge sar-e-bazm 'wahid'
chhuT na jae kahin daman-e-shakeba ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.