chha gaya mustaqilan shab ka andhera shayad
chhā gayā mustaqilan shab kā añdherā shāyad
ab na hogā kabhī bastī meñ saverā shāyad
haañ abhī vaqt hai kuchh faiz uThā.e koī
phir na ho pā.egā us jogī kā pherā shāyad
naag be-ḳhauf-o-ḳhatar phirte haiñ kūcha kūcha
bastiyoñ meñ nahīñ ab koī saperā shāyad
mālik-e-kaun-o-makāñ kā jo karam hai sab par
us kī nazroñ meñ nahīñ terā ki merā shāyad
ḳhema-zan ranj-o-alam yuuñ haiñ mire siine meñ
zindagī bhar na uThā.eñge ye Derā shāyad
niiñd ko chhoḌ kar ab fikr-e-safar kar 'lāġhar'
kuuch karne ko hai ab terā bhī Derā shāyad
chha gaya mustaqilan shab ka andhera shayad
ab na hoga kabhi basti mein sawera shayad
han abhi waqt hai kuchh faiz uThae koi
phir na ho paega us jogi ka phera shayad
nag be-KHauf-o-KHatar phirte hain kucha kucha
bastiyon mein nahin ab koi sapera shayad
malik-e-kaun-o-makan ka jo karam hai sab par
us ki nazron mein nahin tera ki mera shayad
KHema-zan ranj-o-alam yun hain mere sine mein
zindagi bhar na uThaenge ye Dera shayad
nind ko chhoD kar ab fikr-e-safar kar 'laghar'
kuch karne ko hai ab tera bhi Dera shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.