chhai hai qayamat ki ghaTa dekhiye kya ho
chhā.ī hai qayāmat kī ghaTā dekhiye kyā ho
barse to barasne kī adā dekhiye kyā ho
khul khul ke sabhī phuul to masrūr haiñ lekin
masmūm hai gulshan kī fazā dekhiye kyā ho
phir josh meñ haiñ aaj mire madd-e-muqābil
hai merī vafā un kī jafā dekhiye kyā ho
sar joḌ ke baiThe haiñ sabhī sulh kī ḳhātir
haiñ un ke ḳhayālāt judā dekhiye kyā ho
tūfān havādis meñ jalāne to chalā huuñ
ik mehr-o-uḳhuvvat kā diyā dekhiye kyā hū
haq baat bhī arbāb-e-adālat ko khalī hai
iz.hār-e-haqīqat kī sazā dekhiye kyā ho
sahrā-e-tajassus meñ talāsh apnī hai 'kausar'
kuchh yaad nahiñ apnā patā dekhiye kyā ho
chhai hai qayamat ki ghaTa dekhiye kya ho
barse to barasne ki ada dekhiye kya ho
khul khul ke sabhi phul to masrur hain lekin
masmum hai gulshan ki faza dekhiye kya ho
phir josh mein hain aaj mere madd-e-muqabil
hai meri wafa un ki jafa dekhiye kya ho
sar joD ke baiThe hain sabhi sulh ki KHatir
hain un ke KHayalat juda dekhiye kya ho
tufan hawadis mein jalane to chala hun
ek mehr-o-uKHuwwat ka diya dekhiye kya hu
haq baat bhi arbab-e-adalat ko khali hai
izhaar-e-haqiqat ki saza dekhiye kya ho
sahra-e-tajassus mein talash apni hai 'kausar'
kuchh yaad nahin apna pata dekhiye kya ho
- Book : Junoon Ki Aagahi (Pg. 94)
- Author : Kausar Siwani
- Publication : Arshia Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.