chhante KHak hain is rah se aane wale
chhante KHak hain is rah se aane wale
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
chhānte ḳhaak haiñ is raah se aane vaale
jī se jaate haiñ tire kūche se jaane vaale
aaj vo īsī-e-daurāñ haiñ jalāne vaale
ham taḌap kar haiñ lahad se nikal aane vaale
maiñ bhī pyāsā huuñ mujhe kyoñ nahīñ karte sairāb
aap shamshīr se o pyaas bujhāne vaale
na hameñ dair se matlab na haram se kuchh kaam
ham to haiñ kūcha-e-dildār ke jaane vaale
lo hue ḳhud bhī giraftār-e-mohabbat nāseh
aap hī bhūle jo the raah batāne vaale
apnī fariyād se betāb na kar ai bulbul
tere naale haiñ mire hosh uḌāne vaale
ro hī detā huuñ jo yaad aatā hai landan mujh ko
kyā hue ab vo hasīñ nāchne gaane vaale
dekh ke laash 'haqīr' aap kī bolā vo shoḳh
aaj duniyā se chale Thokareñ khāne vaale
chhante KHak hain is rah se aane wale
ji se jate hain tere kuche se jaane wale
aaj wo isi-e-dauran hain jalane wale
hum taDap kar hain lahad se nikal aane wale
main bhi pyasa hun mujhe kyon nahin karte sairab
aap shamshir se o pyas bujhane wale
na hamein dair se matlab na haram se kuchh kaam
hum to hain kucha-e-dildar ke jaane wale
lo hue KHud bhi giraftar-e-mohabbat naseh
aap hi bhule jo the rah batane wale
apni fariyaad se betab na kar ai bulbul
tere nale hain mere hosh uDane wale
ro hi deta hun jo yaad aata hai landan mujh ko
kya hue ab wo hasin nachne gane wale
dekh ke lash 'haqir' aap ki bola wo shoKH
aaj duniya se chale Thokaren khane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.