chhalak ke aankh se ashkon ne KHud-kushi kar li
chhalak ke aañkh se ashkoñ ne ḳhud-kushī kar lī
baḌhā ke lau ko charāġhoñ ne ḳhud-kushī kar lī
samundaroñ ne jahāñ bhī zamīn ko chūmā
vahāñ pe pahle kināroñ ne ḳhud-kushī kar lī
tamām nuur ko bekār kyoñ na bolā jaa.e
charāġh phūñk ke andhoñ ne ḳhud-kushī kar lī
'ajīb tang jagah hai badan-numā kamra
ghuTan ke maare kivāḌoñ ne ḳhud-kushī kar lī
koī 'ajīb tamāsha thā qatl-e-'īsā bhī
sunā hai 'kāf' tamāshoñ ne ḳhud-kushī kar lī
chhalak ke aankh se ashkon ne KHud-kushi kar li
baDha ke lau ko charaghon ne KHud-kushi kar li
samundaron ne jahan bhi zamin ko chuma
wahan pe pahle kinaron ne KHud-kushi kar li
tamam nur ko bekar kyon na bola jae
charagh phunk ke andhon ne KHud-kushi kar li
'ajib tang jagah hai badan-numa kamra
ghuTan ke mare kiwaDon ne KHud-kushi kar li
koi 'ajib tamasha tha qatl-e-'isa bhi
suna hai 'kaf' tamashon ne KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.