chhalak rahi hain jo aaj aankhen dukhon ka itna risaw kyon hai
chhalak rahi hain jo aaj aankhen dukhon ka itna risaw kyon hai
Jawed Ulfat
MORE BYJawed Ulfat
chhalak rahī haiñ jo aaj āñkheñ dukhoñ kā itnā risāv kyoñ hai
maiñ apne ashkoñ se pūchhtā huuñ ġhamoñ ko mujh se lagāo kyoñ hai
maiñ apne logoñ ke aage aa kar akele duniyā se laḌ rahā thā
ye merā siina hai chhalnī lekin kamar pe gahre ye ghaav kyoñ hai
jo dil meñ aayā uThā dī uñglī mujhe hī mujrim banā ke maarā
sazā bhī mansūb kar chuke jab to pairvī kā dabāv kyoñ hai
hameñ pata hai ghane añdheroñ meñ ghir ga.ī haiñ hamārī rāheñ
agar ye sach hai hamāre dil meñ ye raushnī kā alaav kyoñ hai
rivāj-o-rasmoñ se gar laḌūñgā laḌegī mujh se tamām duniyā
maiñ ulTe dhāroñ meñ tairtā huuñ magar ye ulTā bahāv kyoñ hai
mirī hai lahreñ mire thapeḌe mire hai tūfāñ mire talātum
maiñ jab se niklā huuñ naav le kar bhañvar meñ merī ye naav kyoñ hai
parā.e apne sabhī haiñ shāmil mirī tabāhī ke vasvasoñ meñ
jab apne hī chaal chal rahe haiñ to apnoñ kā ye banāv kyoñ hai
tamām shakloñ ko apnī kah kar hazāroñ kirdār kar chukā huuñ
maiñ jis kahānī meñ jī rahā huuñ usī meñ itne ghumāv kyoñ hai
chhalak rahi hain jo aaj aankhen dukhon ka itna risaw kyon hai
main apne ashkon se puchhta hun ghamon ko mujh se lagao kyon hai
main apne logon ke aage aa kar akele duniya se laD raha tha
ye mera sina hai chhalni lekin kamar pe gahre ye ghaw kyon hai
jo dil mein aaya uTha di ungli mujhe hi mujrim bana ke mara
saza bhi mansub kar chuke jab to pairwi ka dabaw kyon hai
hamein pata hai ghane andheron mein ghir gai hain hamari rahen
agar ye sach hai hamare dil mein ye raushni ka alaw kyon hai
riwaj-o-rasmon se gar laDunga laDegi mujh se tamam duniya
main ulTe dhaaron mein tairta hun magar ye ulTa bahaw kyon hai
meri hai lahren mere thapeDe mere hai tufan mere talatum
main jab se nikla hun naw le kar bhanwar mein meri ye naw kyon hai
parae apne sabhi hain shamil meri tabahi ke waswason mein
jab apne hi chaal chal rahe hain to apnon ka ye banaw kyon hai
tamam shaklon ko apni kah kar hazaron kirdar kar chuka hun
main jis kahani mein ji raha hun usi mein itne ghumaw kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.