chhalke hai mera KHun bhi chehre se hasin ke
chhalke hai mirā ḳhuun bhī chehre se hasīñ ke
aflāk meñ shāmil haiñ ka.ī rang zamīñ ke
ik terā Thikāna hī Thikāna hai hamārā
ham jaise kahāñ jā.eñge duniyā ke na diiñ ke
kuchh rāste kaTte haiñ sarāboñ ke sahāre
dhulte haiñ gumāñ se bhī ka.ī daaġh yaqīñ ke
ai qais sikhāo na hameñ ḳhaak uḌānā
jis dasht se tum aa.e ho ham bhī haiñ vahīñ ke
har ġham ko tire naam pe sah jā.eñge hañs kar
go dard kahīñ ke bhī raheñ zaḳhm kahīñ ke
tujh se to falak ham ko nahīñ itnī bhī ummīd
sab raaz chhupātī hai zamīñ ahl-e-zamīñ ke
chhalke hai mera KHun bhi chehre se hasin ke
aflak mein shamil hain kai rang zamin ke
ek tera Thikana hi Thikana hai hamara
hum jaise kahan jaenge duniya ke na din ke
kuchh raste kaTte hain sarabon ke sahaare
dhulte hain guman se bhi kai dagh yaqin ke
ai qais sikhao na hamein KHak uDana
jis dasht se tum aae ho hum bhi hain wahin ke
har gham ko tere nam pe sah jaenge hans kar
go dard kahin ke bhi rahen zaKHm kahin ke
tujh se to falak hum ko nahin itni bhi ummid
sab raaz chhupati hai zamin ahl-e-zamin ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.