chhanak chhanak si pael pael nache shoKH nashili miTTi
chhanak chhanak sī paa.el paa.el nāche shoḳh nashīlī miTTī
biktī jaa.e nagrī nagrī badan badan chamkīlī miTTī
karvaT karvaT dard chhupā kar palkoñ par sapne bikhrā kar
ashkoñ se ham gūñdh rahe haiñ kaalī niilī piilī miTTī
chhoḌ ke mat tum jaanā hargiz bastī ke albele logo
degī roz sadā.eñ tum ko bastī kī rangīlī miTTī
palkoñ kā sañgīt sunā kar chāhat kī ḳhushbū lahrā kar
man āñgan meñ dhuup bichhā.e muTThī bhar chamkīlī miTTī
dhaḌkan dhaḌkan meñ bas jaa.e qurbat qurbat dil bahlā.e
dilbar dilbar raas rachā.e pag pag sughaḌ sajīlī miTTī
shahr-o-qarya ghuum ga.ī hai man mastī meñ jhuum rahī hai
mahloñ kī mehrāb banī hai gaañv kī sharmīlī miTTī
umaD rahā hai be-kal be-kal prem kā dariyā tūfāñ tūfāñ
humak rahī hai aaj ghaḌe kī kachchī kachchī piilī miTTī
kumhāran ne chaak chalāyā be-kal sā jaadū dikhlāyā
ruup ruup meñ Dhaltī jaa.e chanchal chhail-chhabelī miTTī
haule-haule chal ai raahī sañbhal sañbhal kar narm-ravī se
maiñ bhī thī sartāj kisī kī bol rahī hai giilī miTTī
chhanak chhanak si pael pael nache shoKH nashili miTTi
bikti jae nagri nagri badan badan chamkili miTTi
karwaT karwaT dard chhupa kar palkon par sapne bikhra kar
ashkon se hum gundh rahe hain kali nili pili miTTi
chhoD ke mat tum jaana hargiz basti ke albele logo
degi roz sadaen tum ko basti ki rangili miTTi
palkon ka sangit suna kar chahat ki KHushbu lahra kar
man aangan mein dhup bichhae muTThi bhar chamkili miTTi
dhaDkan dhaDkan mein bas jae qurbat qurbat dil bahlae
dilbar dilbar ras rachae pag pag sughaD sajili miTTi
shahr-o-qarya ghum gai hai man masti mein jhum rahi hai
mahlon ki mehrab bani hai ganw ki sharmili miTTi
umaD raha hai be-kal be-kal prem ka dariya tufan tufan
humak rahi hai aaj ghaDe ki kachchi kachchi pili miTTi
kumhaaran ne chaak chalaya be-kal sa jadu dikhlaya
rup rup mein Dhalti jae chanchal chhail-chhabeli miTTi
haule-haule chal ai rahi sanbhal sanbhal kar narm-rawi se
main bhi thi sartaj kisi ki bol rahi hai gili miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.