chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai
chhapā huā hai bahut kam chhupā ziyāda hai
hameñ ḳhabar hai ḳhabar kyā tirā irāda hai
ye tang-zehn na samjheñge is haqīqat ko
tumhārī bazm meñ kis kis kā dil kushāda hai
bahut sañbhāl ke rakhiyegā merī miTTī ko
ye ḳhāk-dāñ mirī ḳhvāhish kā ik labāda hai
bas ek samt hī chalne kā hukm hai us ko
ye aadmī kisī shatranj kā piyāda hai
sukūn kā hī mazā hai na iztirāb kā lutf
ḳhushī bahut hai na ġham hī bahut ziyāda hai
mujhe ziyāda na denā merī zarūrat se
ho darmiyānī ravish bas yahī irāda hai
maiñ terā saath na chhoḌūñgā maut se pahle
mirī hayāt mirā tujh se itnā vā'da hai
farishta ho ke bhī insān jaisā hai 'rāhib'
mire habīb kā andāz kitnā saada hai
chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai
hamein KHabar hai KHabar kya tera irada hai
ye tang-zehn na samjhenge is haqiqat ko
tumhaari bazm mein kis kis ka dil kushada hai
bahut sanbhaal ke rakhiyega meri miTTi ko
ye KHak-dan meri KHwahish ka ek labaada hai
bas ek samt hi chalne ka hukm hai us ko
ye aadmi kisi shatranj ka piyaada hai
sukun ka hi maza hai na iztirab ka lutf
KHushi bahut hai na gham hi bahut ziyaada hai
mujhe ziyaada na dena meri zarurat se
ho darmiyani rawish bas yahi irada hai
main tera sath na chhoDunga maut se pahle
meri hayat mera tujh se itna wa'da hai
farishta ho ke bhi insan jaisa hai 'rahib'
mere habib ka andaz kitna sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.