chhat ki fasil par se ye bachcha utar gaya
chhat kī fasīl par se ye bachcha utar gayā
dil se tumhāre ishq kā nashsha utar gayā
merī taraf chalā thā jo tirchhī nigāh se
vo tiir mere siine meñ sīdhā utar gayā
āñkhoñ pe us ne ek dafa haath kyā rakhe
mujh ko lagā huā thā jo chashma utar gayā
mere baġhair tū ne guzārī hai zindagī
kaise tire gale se ye luqma utar gayā
niyyat se DāñTne kī hī maiñ to gayā thā par
muskān us kī dekh ke ġhussa utar gayā
vo aaj mujh ko dekh ke kyā muskurā diye
mahfil meñ ek ek kā chehra utar gayā
chhat ki fasil par se ye bachcha utar gaya
dil se tumhaare ishq ka nashsha utar gaya
meri taraf chala tha jo tirchhi nigah se
wo tir mere sine mein sidha utar gaya
aankhon pe us ne ek dafa hath kya rakhe
mujh ko laga hua tha jo chashma utar gaya
mere baghair tu ne guzari hai zindagi
kaise tere gale se ye luqma utar gaya
niyyat se DanTne ki hi main to gaya tha par
muskan us ki dekh ke ghussa utar gaya
wo aaj mujh ko dekh ke kya muskura diye
mahfil mein ek ek ka chehra utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.