chhat Tapakti hai kisi dida-e-tar ki surat
chhat Tapaktī hai kisī dīda-e-tar kī sūrat
kaash dekhe koī aa kar mire ghar kī sūrat
yaas kī god meñ lipTā hai mirā qalb-e-azīz
ek ukhḌe hue be-jān shajar kī sūrat
apnī ummīdoñ se katrātī hai ab merī hayāt
ik ḳhatāvār kī sharminda nazar kī sūrat
chhat ḳhushī kī hai na hai aas kī dīvār koī
dil mirā hai kisī ujḌe hue ghar kī sūrat
kitnī badlī huī lagtī hai hameñ ai 'zāhid'
ek hī shaḳhs ke jaane se nagar kī sūrat
chhat Tapakti hai kisi dida-e-tar ki surat
kash dekhe koi aa kar mere ghar ki surat
yas ki god mein lipTa hai mera qalb-e-aziz
ek ukhDe hue be-jaan shajar ki surat
apni ummidon se katraati hai ab meri hayat
ek KHatawar ki sharminda nazar ki surat
chhat KHushi ki hai na hai aas ki diwar koi
dil mera hai kisi ujDe hue ghar ki surat
kitni badli hui lagti hai hamein ai 'zahid'
ek hi shaKHs ke jaane se nagar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.