Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chheD karne wali zulfon se saba thi main na tha

Fazal Husain Sabir

chheD karne wali zulfon se saba thi main na tha

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    chheḌ karne vaalī zulfoñ se sabā thī maiñ na thā

    mujh se kyoñ barham ho tum us ḳhatā thī maiñ na thā

    ġhair ke vāste thā aap naqd-e-karam

    ġhair ke vāste husn-e-vafā thī maiñ na thā

    jalva-farmā baam par jis dam huā vo māh-rū

    haa.e us dam saarī maḳhlūq-e-ḳhudā thī maiñ na thā

    ġhair ke pahlū meñ rakkhā jis ne mujh ko be-qarār

    ai sitamgar vo mirī āh-e-rasā thī maiñ na thā

    jis ko sun kar ro rahe the aap bhī aġhyār bhī

    raat vo riqqat bharī merī sadā thī maiñ na thā

    rashk se 'sābir' na kyoñ hotā mire armāñ ḳhuun

    dast-e-pā-bosī-e-jānāñ ko hinā thī maiñ na thā

    chheD karne wali zulfon se saba thi main na tha

    mujh se kyon barham ho tum us ki KHata thi main na tha

    ghair hi ke waste tha aap ka naqd-e-karam

    ghair hi ke waste husn-e-wafa thi main na tha

    jalwa-farma baam par jis dam hua wo mah-ru

    hae us dam sari maKHluq-e-KHuda thi main na tha

    ghair ke pahlu mein rakkha jis ne mujh ko be-qarar

    ai sitamgar wo meri aah-e-rasa thi main na tha

    jis ko sun kar ro rahe the aap bhi aghyar bhi

    raat wo riqqat bhari meri sada thi main na tha

    rashk se 'sabir' na kyon hota mere arman ka KHun

    dast-e-pa-bosi-e-jaanan ko hina thi main na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now