chheD karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qaba dosto
chheD karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qaba dosto
Anwar panipati
MORE BYAnwar panipati
chheḌ kartī chalī hai nasīm-e-sahar khil ga.ī har kalī kī qabā dosto
lāla-o-gul ke bhī dil machalne lage dekh kar ye chaman kī fazā dosto
koī nau-ḳhez doshīza le ke chalī jab kabhī jām-e-sho.ala-numā dosto
raunaq-e-mai-kada ḳhud-ba-ḳhud hī baḌhī hashr sā ho gayā ik bapā dosto
saaz bajne lage giit Dhalne lage sāġhar-e-mai ke bhī daur chalne lage
mah-jamāloñ ne zulfeñ kahīñ khol diiñ chhā ga.ī mai-kade par ghaTā dosto
un ke dilkash se gulnār ruḳhsār par bikhre bikhre se gesū shikan-dar-shikan
aur is par qayāmat hai un kī hañsī lab ne kī hai mire phir ḳhatā dosto
ḳhud-baḳhud gulsitāñ meñ kalī jab khilī raat kī god meñ chāñdnī hañs paḌī
jhuk ga.ī bahr-e-sajda nasīm-e-sahar hai ye ādāb-e-mehr-o-vafā dosto
chheD karti chali hai nasim-e-sahar khil gai har kali ki qaba dosto
lala-o-gul ke bhi dil machalne lage dekh kar ye chaman ki faza dosto
koi nau-KHez doshiza le ke chali jab kabhi jam-e-shoala-numa dosto
raunaq-e-mai-kada KHud-ba-KHud hi baDhi hashr sa ho gaya ek bapa dosto
saz bajne lage git Dhalne lage saghar-e-mai ke bhi daur chalne lage
mah-jamalon ne zulfen kahin khol din chha gai mai-kade par ghaTa dosto
un ke dilkash se gulnar ruKHsar par bikhre bikhre se gesu shikan-dar-shikan
aur is par qayamat hai un ki hansi lab ne ki hai mere phir KHata dosto
KHud-baKHud gulsitan mein kali jab khili raat ki god mein chandni hans paDi
jhuk gai bahr-e-sajda nasim-e-sahar hai ye aadab-e-mehr-o-wafa dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.