chheDe na gul ko mauj-e-nasim-e-sahar abhi
chheḌe na gul ko mauj-e-nasīm-e-sahar abhī
achchhe haiñ nok-e-ḳhār se tār-e-nazar abhī
raushan huā hai aaj shab-e-zindagī kā ġham
lillāh mat bujhāo charāġh-e-sahar abhī
āsūda-kām kyā ho mirā zauq-e-bandagī
paayā nahīñ jabīñ ne koī sang-e-dar abhī
insāniyat ke jauhar-e-yaktā ko kyā kahūñ
maqsūd zindagī kā hai tahsīl-e-zar abhī
āsūdgī-e-zīst kā imkāñ nahīñ hanūz
hai ḳhair se jidāl pe āmāda shar abhī
kis tarah vo suneñge shab-e-ġham kī kaifiyat
nā-āshnā-e-shām hai un kī sahar abhī
maiñ kajravī pe qāfila vāloñ ko kyā kahūñ
aaya nahīñ hai raah pe ḳhud rāhbar abhī
'nātiq' jamāl-e-dost nazar aa.e daf.atan
parda takallufāt kā uTh jaa.e gar abhī
chheDe na gul ko mauj-e-nasim-e-sahar abhi
achchhe hain nok-e-KHar se tar-e-nazar abhi
raushan hua hai aaj shab-e-zindagi ka gham
lillah mat bujhao charagh-e-sahar abhi
aasuda-kaam kya ho mera zauq-e-bandagi
paya nahin jabin ne koi sang-e-dar abhi
insaniyat ke jauhar-e-yakta ko kya kahun
maqsud zindagi ka hai tahsil-e-zar abhi
aasudgi-e-zist ka imkan nahin hanuz
hai KHair se jidal pe aamada shar abhi
kis tarah wo sunenge shab-e-gham ki kaifiyat
na-ashna-e-sham hai un ki sahar abhi
main kajrawi pe qafila walon ko kya kahun
aaya nahin hai rah pe KHud rahbar abhi
'natiq' jamal-e-dost nazar aae dafatan
parda takallufat ka uTh jae gar abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.