chheDti hai wo nazar ab mere dil ko aise
chheḌtī hai vo nazar ab mire dil ko aise
kisī jarrāh kī phoḌe ye jarāhat jaise
dil meñ rahtī hai tirī yaad kī ḳhushbū aise
kisī sahrā meñ koī phuul khilā ho jaise
har parastār-e-chaman soch rahā hai dil meñ
vaqt se pahle ḳhizāñ aa.ī chaman meñ kaise
tū ki bigḌī huī taqdīr banā saktā hai
maiñ ki taqdīr ke hāthoñ meñ khilaunā jaise
is tarah Tapke mirī aañkh se sho'le 'lāġhar'
mere siine meñ kahīñ aag lagī ho jaise
chheDti hai wo nazar ab mere dil ko aise
kisi jarrah ki phoDe ye jarahat jaise
dil mein rahti hai teri yaad ki KHushbu aise
kisi sahra mein koi phul khila ho jaise
har parastar-e-chaman soch raha hai dil mein
waqt se pahle KHizan aai chaman mein kaise
tu ki bigDi hui taqdir bana sakta hai
main ki taqdir ke hathon mein khilauna jaise
is tarah Tapke meri aankh se sho'le 'laghar'
mere sine mein kahin aag lagi ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.