chheDunga be-KHatar teri zulf-e-duta ko main
chheḌūñgā be-ḳhatar tirī zulf-e-dutā ko maiñ
āvāz de ke aayā huuñ apnī qazā ko maiñ
le kar charāġh-e-tūr karūñgā talāsh ab
is tīra-ḳhāk-dāñ meñ tire naqsh-e-pā ko maiñ
yuuñ hī rahe ye rābta qaa.em ḳhudā kare
chhoḌo na tum jafā ko na chhoḌūñ vafā ko maiñ
miltī 'rasā' mujhe bhī mire fikr-o-fan kī daad
lā.ūñ kahāñ se 'ġhālib'-e-nukta-sarā ko maiñ
chheDunga be-KHatar teri zulf-e-duta ko main
aawaz de ke aaya hun apni qaza ko main
le kar charagh-e-tur karunga talash ab
is tira-KHak-dan mein tere naqsh-e-pa ko main
yun hi rahe ye rabta qaem KHuda kare
chhoDo na tum jafa ko na chhoDun wafa ko main
milti 'rasa' mujhe bhi mere fikr-o-fan ki dad
laun kahan se 'ghaalib'-e-nukta-sara ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.