chhiDa hai rag bhaunre ka hawa ki hai nai dhun bhi
chhiḌā hai raag bhauñre kā havā kī hai na.ī dhun bhī
ġhazab hai saal ke bārah mahīnoñ meñ ye phāgun bhī
ye rang-e-husn-e-gul ye naġhma-e-mastāna-e-bulbul
ishāra kartī hai fitrat idhar aa dekh bhī sun bhī
baḌe darshan tumhāre ho ga.e raaja kī sevā se
magar man kā panapnā chāhte ho to karo pun bhī
hue raushan ye mā'nī chāñd kyoñ shā'ir ko pyārā hai
kamāl is meñ ye hai aariz bhī hai abrū bhī nāḳhun bhī
chhiDa hai rag bhaunre ka hawa ki hai nai dhun bhi
ghazab hai sal ke barah mahinon mein ye phagun bhi
ye rang-e-husn-e-gul ye naghma-e-mastana-e-bulbul
ishaara karti hai fitrat idhar aa dekh bhi sun bhi
baDe darshan tumhaare ho gae raja ki sewa se
magar man ka panapna chahte ho to karo pun bhi
hue raushan ye ma'ni chand kyon sha'ir ko pyara hai
kamal is mein ye hai aariz bhi hai abru bhi naKHun bhi
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 77)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.