chhin kar KHwab mere meri talab puchhte hain
chhīn kar ḳhvāb mire merī talab pūchhte haiñ
raat bhar niiñd na aane kā sabab pūchhte haiñ
bārisheñ aañkh kī ma.ayūb na hotī hoñ kahīñ
ishq kā chal kisī ujḌe se adab pūchhte haiñ
tīra-rātoñ meñ bhalā kaise jiyā jaatā hai
mere qātil bhī to ab mujh se ye Dhab pūchhte haiñ
apne shajre ko bhī hamrāh liye chal rasman
jañg se qabl yahāñ nām-o-nasab pūchhte haiñ
chārasāzoñ ne to ab samt badal lī 'āmir'
aao bāzār meñ bikte hue lab pūchhte haiñ
chhin kar KHwab mere meri talab puchhte hain
raat bhar nind na aane ka sabab puchhte hain
barishen aankh ki mayub na hoti hon kahin
ishq ka chal kisi ujDe se adab puchhte hain
tira-raaton mein bhala kaise jiya jata hai
mere qatil bhi to ab mujh se ye Dhab puchhte hain
apne shajre ko bhi hamrah liye chal rasman
jang se qabl yahan nam-o-nasab puchhte hain
chaarasazon ne to ab samt badal li 'amir'
aao bazar mein bikte hue lab puchhte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 595)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.