chhin kar mujhse meri aah-o-fughan tak le gaya
chhīn kar mujh se mirī āh-o-fuġhāñ tak le gayā
raqs sub.h-o-shām kā ashk-e-ravāñ tak le gayā
chand logoñ ne sharar-āgīñ kiyā gulzār ko
tund tūfāñ āshiyāñ-dar-āshiyāñ tak le gayā
fasl-e-dard-o-ġham lahū-bardār ye jaltī havā
irtiqā-e-dahr shāyad āsmāñ tak le gayā
naqsh-e-pā-e-hādsāt-o-maut kī ḳhushbū milī
ham-navā merā mujhe jis jis makāñ tak le gayā
jis bulandī par khaḌā huuñ vāpsī mumkin nahīñ
lamha-e-daurāñ zamīñ se āsmāñ tak le gayā
dasht-e-behad meñ use kaise bhalā manzil mile
reg kā jhoñkā nishān-e-kārvāñ tak le gayā
jism ai 'betāb' chaltī phirtī zinda laash hai
vaqt kā tūfāñ ḳhirad kī dhajjiyāñ tak le gayā
chhin kar mujh se meri aah-o-fughan tak le gaya
raqs subh-o-sham ka ashk-e-rawan tak le gaya
chand logon ne sharar-agin kiya gulzar ko
tund tufan aashiyan-dar-ashiyan tak le gaya
fasl-e-dard-o-gham lahu-bardar ye jalti hawa
irtiqa-e-dahr shayad aasman tak le gaya
naqsh-e-pa-e-hadsat-o-maut ki KHushbu mili
ham-nawa mera mujhe jis jis makan tak le gaya
jis bulandi par khaDa hun wapsi mumkin nahin
lamha-e-dauran zamin se aasman tak le gaya
dasht-e-behad mein use kaise bhala manzil mile
reg ka jhonka nishan-e-karwan tak le gaya
jism ai 'betab' chalti phirti zinda lash hai
waqt ka tufan KHirad ki dhajjiyan tak le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.