chhiTke hain tirgi mein sitare kabhi kabhi
chhiTke haiñ tīrgī meñ sitāre kabhī kabhī
kaam aa ga.e haiñ ġham ke sharāre kabhī kabhī
tūfān ban ga.e haiñ kabhī mere vāste
maujoñ meñ mil ga.e haiñ kināre kabhī kabhī
apnoñ kī be-ruḳhī se taġhayyur ke ḳhauf se
begāne ban ga.e haiñ hamāre kabhī kabhī
ai dost tum se tark-e-ta'alluq ke bāvajūd
ḳhvāboñ meñ kho ga.e haiñ tumhāre kabhī kabhī
be-ḳhauf ham qazā kī hadoñ se guzar ga.e
kartī rahī hayāt ishāre kabhī kabhī
rote rahe haiñ yaas ke maare tamām raat
din is tarah bhī ham ne guzāre kabhī kabhī
tanhā-ravī kī ḳhair mohabbat meñ ai 'kañval'
Thukrā diye haiñ ham ne sahāre kabhī kabhī
chhiTke hain tirgi mein sitare kabhi kabhi
kaam aa gae hain gham ke sharare kabhi kabhi
tufan ban gae hain kabhi mere waste
maujon mein mil gae hain kinare kabhi kabhi
apnon ki be-ruKHi se taghayyur ke KHauf se
begane ban gae hain hamare kabhi kabhi
ai dost tum se tark-e-ta'alluq ke bawajud
KHwabon mein kho gae hain tumhaare kabhi kabhi
be-KHauf hum qaza ki hadon se guzar gae
karti rahi hayat ishaare kabhi kabhi
rote rahe hain yas ke mare tamam raat
din is tarah bhi hum ne guzare kabhi kabhi
tanha-rawi ki KHair mohabbat mein ai 'kanwal'
Thukra diye hain hum ne sahaare kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.