chhoD de zid ki istiKhaara kar
chhoḌ de zid ki istiḳhāra kar
'ishq nākām hai dubāra kar
tujh ko to raat kī suhūlat hai
ik diyā ḳhud jalā sitāra kar
maiñ bhī zinda huuñ is kahānī meñ
tū bhī kirdār ko gavāra kar
dekh kitne haiñ dekhne vaale
roz apnī nazar utārā kar
kuchh bhañvar the 'ajīb paañv meñ
dasht ne kah diyā kināra kar
vaqt ab kun kā bhī nahīñ 'sāhib'
jumbish-e-lab na de ishāra kar
chhoD de zid ki istiKHara kar
'ishq nakaam hai dubara kar
tujh ko to raat ki suhulat hai
ek diya KHud jala sitara kar
main bhi zinda hun is kahani mein
tu bhi kirdar ko gawara kar
dekh kitne hain dekhne wale
roz apni nazar utara kar
kuchh bhanwar the 'ajib panw mein
dasht ne kah diya kinara kar
waqt ab kun ka bhi nahin 'sahib'
jumbish-e-lab na de ishaara kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.