chhoD ja sath magar meri dua tu le ja
chhoḌ jā saath magar merī duā tū le jā
apne raste ke liye merā ḳhudā tū le jā
maiñ ne maanā ki ḳhatā koī nahīñ tujh se huī
apnī nā-karda ḳhatāoñ kī sazā tū le jā
zaḳhm bharne meñ to ik umr guzar jaatī hai
ḳhvāb pal bhar meñ sameTe haiñ pata tū le jā
jis ke saa.e tale ham ḳhvāb bunā karte the
is yaqīñ hī kī ye sad-chāk ridā tū le jā
donoñ mil kar jinheñ gaate the tū un gītoñ se
merī āvāz na le apnī sadā tū le jā
mere hisse kā jo hai dard use pī lūñgā
apne hisse kā sukūñ apnī vafā tū le jā
apnā rishta thā falak aur zamīñ kā rishta
'zāhid' is meñ hai jo phailā vo ḳhalā tū le jā
chhoD ja sath magar meri dua tu le ja
apne raste ke liye mera KHuda tu le ja
main ne mana ki KHata koi nahin tujh se hui
apni na-karda KHataon ki saza tu le ja
zaKHm bharne mein to ek umr guzar jati hai
KHwab pal bhar mein sameTe hain pata tu le ja
jis ke sae tale hum KHwab buna karte the
is yaqin hi ki ye sad-chaak rida tu le ja
donon mil kar jinhen gate the tu un giton se
meri aawaz na le apni sada tu le ja
mere hisse ka jo hai dard use pi lunga
apne hisse ka sukun apni wafa tu le ja
apna rishta tha falak aur zamin ka rishta
'zahid' is mein hai jo phaila wo KHala tu le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.