chhoD jaane ki wo jurat bhi nahin kar sakta
chhoḌ jaane kī vo jur.at bhī nahīñ kar saktā
būḌhī rasmoñ se baġhāvat bhī nahīñ kar saktā
tū mirī jaañ hai magar hai to tavā.if hī naañ
maiñ tirī khul ke himāyat bhī nahīñ kar saktā
vo jise pūjte ik umr guzārī ham ne
kyā vo ik baar ināyat bhī nahīñ kar saktā
dil jo bachcha thā bahut shoḳh tire jaane par
aise sahmā hai sharārat bhī nahīñ kar saktā
ishq karne kā mujhe kahtī hai samjhāo use
mujh sā mazdūr mohabbat bhī nahīñ kar saktā
merī mayyat pe kahāñ vaqt se vo pahuñchegā
jo ki bar-vaqt ayādat bhī nahīñ kar saktā
āḳhirī umr meñ maflūj huā baap huuñ maiñ
apne bachchoñ ko nasīhat bhī nahīñ kar saktā
chhoD jaane ki wo jurat bhi nahin kar sakta
buDhi rasmon se baghawat bhi nahin kar sakta
tu meri jaan hai magar hai to tawaif hi nan
main teri khul ke himayat bhi nahin kar sakta
wo jise pujte ek umr guzari hum ne
kya wo ek bar inayat bhi nahin kar sakta
dil jo bachcha tha bahut shoKH tere jaane par
aise sahma hai shararat bhi nahin kar sakta
ishq karne ka mujhe kahti hai samjhao use
mujh sa mazdur mohabbat bhi nahin kar sakta
meri mayyat pe kahan waqt se wo pahunchega
jo ki bar-waqt ayaadat bhi nahin kar sakta
aaKHiri umr mein mafluj hua bap hun main
apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.