chhoD kar behaal mujhko apne begane gae
chhoḌ kar behāl mujh ko apne begāne ga.e
gardish-e-ayyām meñ sab log pahchāne ga.e
jaane kis kī bad-nazar ne hashr barpā kar diyā
mūnis-o-ġham-ḳhvār sab dushman meñ gardāne ga.e
koī bhī tadbīr apnī kaam ab aatī nahīñ
merī aql-o-faham ke mash.hūr afsāne ga.e
bhuuk aur iflās kī suulī chaḌhā kar qaum ko
rahnumā-e-vaqt ab parcham ko lahrāne ga.e
khīñch kar aksar garebāñ zarf ne rokā hameñ
jab kisī kamzor par ham zor dikhlāne ga.e
hosh vaalo ko ḳhirad-mandī ne buzdil kar diyā
aur mushkil ma.arkoñ par sirf dīvāne ga.e
kis meñ dekhūñ aks sachchā.ī kā ab maiñ kyā karūñ
aa.ine bhī jhuuT ke zumre meñ gardāne ga.e
mil gayā 'maqsūd' mujh ko ho ga.ī taaza ġhazal
fikr ke parde meñ jab alfāz lahrāne ga.e
chhoD kar behaal mujh ko apne begane gae
gardish-e-ayyam mein sab log pahchane gae
jaane kis ki bad-nazar ne hashr barpa kar diya
munis-o-gham-KHwar sab dushman mein gardane gae
koi bhi tadbir apni kaam ab aati nahin
meri aql-o-faham ke mashhur afsane gae
bhuk aur iflas ki suli chaDha kar qaum ko
rahnuma-e-waqt ab parcham ko lahrane gae
khinch kar aksar gareban zarf ne roka hamein
jab kisi kamzor par hum zor dikhlane gae
hosh walo ko KHirad-mandi ne buzdil kar diya
aur mushkil markon par sirf diwane gae
kis mein dekhun aks sachchai ka ab main kya karun
aaine bhi jhuT ke zumre mein gardane gae
mil gaya 'maqsud' mujh ko ho gai taza ghazal
fikr ke parde mein jab alfaz lahrane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.