chhoD kar dariya ye jo tishna-dahan jate hain
chhoḌ kar dariyā ye jo tishna-dahāñ jaate haiñ
ham bhī kis muñh se ye pūchheñ ki kahāñ jaate haiñ
koī dhaḌkā sā lagā rahtā hai siine meñ mire
koī saaya hai ta'āqub meñ jahāñ jaate haiñ
dekhtā rahtā huuñ saḌkoñ pe jo logoñ kā hujūm
sochtā rahtā huuñ āḳhir ye kahāñ jaate haiñ
kam se kam ham hī nahīñ shahr meñ rone vaale
us ke kūche se sabhī girya-kunāñ jaate haiñ
vaj.h-e-āvārgī kyā pūchh rahe ho ham se
kyā parindoñ se kabhī pūchhā kahāñ jaate haiñ
kam se kam itnā batā detā tū jaate jaate
tere Thukrā.e hue log kahāñ jaate haiñ
chhoD kar dariya ye jo tishna-dahan jate hain
hum bhi kis munh se ye puchhen ki kahan jate hain
koi dhaDka sa laga rahta hai sine mein mere
koi saya hai ta'aqub mein jahan jate hain
dekhta rahta hun saDkon pe jo logon ka hujum
sochta rahta hun aaKHir ye kahan jate hain
kam se kam hum hi nahin shahr mein rone wale
us ke kuche se sabhi girya-kunan jate hain
wajh-e-awargi kya puchh rahe ho hum se
kya parindon se kabhi puchha kahan jate hain
kam se kam itna bata deta tu jate jate
tere Thukrae hue log kahan jate hain
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 51)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.