chhoD kar dasht-e-junun mere nagar mein aaya
chhoḌ kar dasht-e-junūñ mere nagar meñ aayā
qais sadqe tire ustād ke ghar meñ aayā
kyā tirā hijr mirī rāhguzar meñ aayā
dard uTh uTh ke batātā hai jigar meñ aayā
apne ġham ko na mire dil se kahīñ jaane de
baḌī muddat se ye mehmān hai ghar meñ aayā
us ne bas itnā kahā aa mire siine se lag
phir to jis tarh mirā haath kamar meñ aayā
laakh bachtā huuñ magar us se bachā jaatā nahīñ
dard kahtā hai tirā le maiñ jigar meñ aayā
lazzat-e-ġham tire sadqe ki sivā ġham ke liye
dūsrā ek jigar mere jigar meñ aayā
mere marne kā bhī sunte nahīñ vo kahte haiñ
kaun kambaḳht hai ye kaise ḳhabar meñ aayā
aur suno jalte haiñ jannat meñ bhī vo hūroñ se
DhūñDte phirte haiñ bal kis kī kamar meñ aayā
bā-ḳhudā tujh ko suḳhan hī se ḳhudā kar dūñgā
mo'jiza ye bhī agar mere hunar meñ aayā
chhoD kar dasht-e-junun mere nagar mein aaya
qais sadqe tere ustad ke ghar mein aaya
kya tera hijr meri rahguzar mein aaya
dard uTh uTh ke batata hai jigar mein aaya
apne gham ko na mere dil se kahin jaane de
baDi muddat se ye mehman hai ghar mein aaya
us ne bas itna kaha aa mere sine se lag
phir to jis tarh mera hath kamar mein aaya
lakh bachta hun magar us se bacha jata nahin
dard kahta hai tera le main jigar mein aaya
lazzat-e-gham tere sadqe ki siwa gham ke liye
dusra ek jigar mere jigar mein aaya
mere marne ka bhi sunte nahin wo kahte hain
kaun kambaKHt hai ye kaise KHabar mein aaya
aur suno jalte hain jannat mein bhi wo huron se
DhunDte phirte hain bal kis ki kamar mein aaya
ba-KHuda tujh ko suKHan hi se KHuda kar dunga
mo'jiza ye bhi agar mere hunar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.