chhoD kar mujhko kahin aur agar jaana hai
chhoḌ kar mujh ko kahīñ aur agar jaanā hai
jā ijāzat hai tujhe tujh ko jidhar jaanā hai
tū to ḳhushbū hai kisī samt chalā jā.egā
maiñ huuñ ik ret kā paikar so bikhar jaanā hai
ek muddat hai huī raah meñ chalte lekin
is kā jaanā hī nahīñ hai ki kidhar jaanā hai
ab tirī yaad bhī kab mujh pe asar kartī hai
tū bhī ik roz mire dil se utar jaanā hai
laakh paḌ jaa.eñ hameñ jaan ke laale lekin
jaan tujh ko hī mirī jaan magar jaanā hai
ham to 'āshiq haiñ miyāñ ham haiñ shaboñ ke 'aadī
aap jā sakte haiñ gar aap ko ghar jaanā hai
kiije fir'aun se shaddād se 'ibrat hāsil
zer ye ho ga.e saare jo zabar jaanā hai
bas yahī sochte ham tum to na nafrat karte
na sahī aaj magar kal hameñ mar jaanā hai
ab ke bichhḌe haiñ to ye jī meñ hai aayā 'qaisar'
ab nahīñ jiinā yahāñ jaañ se guzar jaanā hai
chhoD kar mujh ko kahin aur agar jaana hai
ja ijazat hai tujhe tujh ko jidhar jaana hai
tu to KHushbu hai kisi samt chala jaega
main hun ek ret ka paikar so bikhar jaana hai
ek muddat hai hui rah mein chalte lekin
is ka jaana hi nahin hai ki kidhar jaana hai
ab teri yaad bhi kab mujh pe asar karti hai
tu bhi ek roz mere dil se utar jaana hai
lakh paD jaen hamein jaan ke lale lekin
jaan tujh ko hi meri jaan magar jaana hai
hum to 'ashiq hain miyan hum hain shabon ke 'adi
aap ja sakte hain gar aap ko ghar jaana hai
kije fir'aun se shaddad se 'ibrat hasil
zer ye ho gae sare jo zabar jaana hai
bas yahi sochte hum tum to na nafrat karte
na sahi aaj magar kal hamein mar jaana hai
ab ke bichhDe hain to ye ji mein hai aaya 'qaisar'
ab nahin jina yahan jaan se guzar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.