chhoD kar tujhko kahin aur nikal sakte the
chhoḌ kar tujh ko kahīñ aur nikal sakte the
zindagī ham tirā 'unvān badal sakte the
mar ga.e Thiik huā ḳhatm kahānī bhī huī
varna ik roz kahānī se nikal sakte the
aa.ina hone kā nuqsān uThāyā ham ne
miTTī hote to kisī shakl meñ Dhal sakte the
mausam-e-hijr tirā shukr bachāyā tū ne
vasl kī aañch se ham varna pighal sakte the
aise mauqe’ to asīrī meñ ka.ī baar mile
ham agar chāhte zanjīr badal sakte the
chhoD kar tujh ko kahin aur nikal sakte the
zindagi hum tera 'unwan badal sakte the
mar gae Thik hua KHatm kahani bhi hui
warna ek roz kahani se nikal sakte the
aaina hone ka nuqsan uThaya hum ne
miTTi hote to kisi shakl mein Dhal sakte the
mausam-e-hijr tera shukr bachaya tu ne
wasl ki aanch se hum warna pighal sakte the
aise mauqe’ to asiri mein kai bar mile
hum agar chahte zanjir badal sakte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.