chhoD us ka ishq DhunDhun mah-washan-e-chand aur
chhoD us ka ishq DhunDhun mah-washan-e-chand aur
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
chhoḌ us kā ishq DhūñDhuñ mah-vashān-e-chand aur
dil uThā kar us sate bāñdhūñgā bā-dil band aur
teġh-e-burrāñ se koī kaaTe mujhe mumkin nahīñ
hai azal se mujh ko tere saath jo paivand aur
hai piyāla shiir kā labrez mah ke haath meñ
ab shakar-ḳhandī se us meñ Daal de tū qand aur
dil tasallī thā yakāyak qat.a-e-ulfat-bēñ magar
zaḳhm-e-dil par phir namak chhiḌkā ba-shakkar-ḳhand aur
maiñ nahīñ tanhā kamand-e-zulf meñ terī phañsā
hai har ik halqa meñ terī zulf ke pāband aur
qaul par tere nahīñ paimāñ-shikan kuchh e'tibār
har ghaḌī va.ada kare yā khāve tū saugand aur
vaa.e mujh par jā.ūñ kūche se tire kis taur se
TuuTe gar yak band terī zulf Daale band aur
haath uThā.ūñ ishq se hargiz ye ho saktā nahīñ
nāsehā har-dam mirā dil chhīl mat bā-pand aur
pūchhtā hai 'āfrīdī' se tirā mālik hai kaun
kaun hai tere sivā mere ḳhudā ḳhāvand aur
chhoD us ka ishq DhunDhun mah-washan-e-chand aur
dil uTha kar us sate bandhunga ba-dil band aur
tegh-e-burran se koi kaTe mujhe mumkin nahin
hai azal se mujh ko tere sath jo paiwand aur
hai piyala shir ka labrez mah ke hath mein
ab shakar-KHandi se us mein Dal de tu qand aur
dil tasalli tha yakayak qata-e-ulfat-been magar
zaKHm-e-dil par phir namak chhiDka ba-shakkar-KHand aur
main nahin tanha kamand-e-zulf mein teri phansa
hai har ek halqa mein teri zulf ke paband aur
qaul par tere nahin paiman-shikan kuchh e'tibar
har ghaDi wada kare ya khawe tu saugand aur
wae mujh par jaun kuche se tere kis taur se
TuTe gar yak band teri zulf Dale band aur
hath uThaun ishq se hargiz ye ho sakta nahin
naseha har-dam mera dil chhil mat ba-pand aur
puchhta hai 'afridi' se tera malik hai kaun
kaun hai tere siwa mere KHuda KHawand aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.