Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoD ye pyar mohabbat ke latife pagal

Sapana Ahsaas

chhoD ye pyar mohabbat ke latife pagal

Sapana Ahsaas

MORE BYSapana Ahsaas

    chhoḌ ye pyaar mohabbat ke latīfe pāgal

    mujh ko kar deñge mirī jaan ye qisse pāgal

    'ishq chaḌh jaatā hai suulī pe anal-haq kah kar

    roz hote haiñ tire shahr meñ kitne pāgal

    saath rahnā muqaddar hai magar mel nahīñ

    ham haiñ dariyā ke vo mā'sūm kināre pāgal

    lutf lete haiñ bahāroñ ḳhizāñ meñ rah kar

    aise hote haiñ tire 'ishq ke maare pāgal

    kyā kahā 'ishq tirā tujh ko milegā ik din

    nahīñ jāntā duniyā mire pyāre pāgal

    maiñ samajhtī huuñ ke in'ām-e-ḳhudāvandī hai

    jitne hote haiñ mohabbat meñ ḳhasāre pāgal

    muddatoñ baa'd du'āoñ asar kal dekhā

    maiñ ne be-sāḳhta pūchhā ki kahāñ the pāgal

    har galī kūche meñ raushan hai tire naam se 'ishq

    ek ham to nahīñ tere akele pāgal

    chhoD ye pyar mohabbat ke latife pagal

    mujh ko kar denge meri jaan ye qisse pagal

    'ishq chaDh jata hai suli pe anal-haq kah kar

    roz hote hain tere shahr mein kitne pagal

    sath rahna hi muqaddar hai magar mel nahin

    hum hain dariya ke wo ma'sum kinare pagal

    lutf lete hain bahaaron ka KHizan mein rah kar

    aise hote hain tere 'ishq ke mare pagal

    kya kaha 'ishq tera tujh ko milega ek din

    tu nahin jaanta duniya mere pyare pagal

    main samajhti hun ke in'am-e-KHudawandi hai

    jitne hote hain mohabbat mein KHasare pagal

    muddaton ba'd du'aon ka asar kal dekha

    main ne be-saKHta puchha ki kahan the pagal

    har gali kuche mein raushan hai tere nam se 'ishq

    ek hum hi to nahin tere akele pagal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now