chhoDo ye baat-chit bhi kis ka hai kya hua
chhoḌo ye bāt-chīt bhī kis kā hai kyā huā
achchhā huā hai yaar jo achchhā burā huā
dhīre se chalnā chāhiye thā bhāgne lage
ham ne ḳharāb kar liyā rasta banā huā
āñkhoñ kā lams jism ke hāthoñ meñ sauñp kar
us ne charāġh gul kiyā aadhā jalā huā
aadhā adhūrā hijr javānī chabā gayā
aadhe adhūre ishq meñ bachpan havā huā
dil kā mo.āmla bhī hai kuchh is tarah kā dost
taaza sā ek zaḳhm ho jaise dukhā huā
chakrā rahe haiñ vāqa.ī ham yā mire 'safīr'
pañkhā sā ghūmtā hai falak se lagā huā
chhoDo ye baat-chit bhi kis ka hai kya hua
achchha hua hai yar jo achchha bura hua
dhire se chalna chahiye tha bhagne lage
hum ne KHarab kar liya rasta bana hua
aankhon ka lams jism ke hathon mein saunp kar
us ne charagh gul kiya aadha jala hua
aadha adhura hijr jawani chaba gaya
aadhe adhure ishq mein bachpan hawa hua
dil ka moamla bhi hai kuchh is tarah ka dost
taza sa ek zaKHm ho jaise dukha hua
chakra rahe hain waqai hum ya mere 'safir'
pankha sa ghumta hai falak se laga hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.