chhoTa baDa na kam na manjhola izar-band
chhoTā baḌā na kam na mañjhola izār-band
hai us parī kā sab se amolā izār-band
har ik qadam pe shoḳh ke zaanū ke darmiyāñ
khātā hai kis jhalak se jhakolā izār-band
hañsne meñ haath merā kahīñ lag gayā to vo
lauñDī se bolī jā mirā dho lā izār-band
aur dho nahīñ tū pheñk de nāpāk ho gayā
vo dūsrā jo hai so piro lā izār-band
ik din kahā jo maiñ ne ki ai jaan aap kā
ham ne kabhū maze meñ na kholā izār-band
sun kar lagī ye kahne ki ai vāchhaḌe che ḳhush
aisā bhī kyā maiñ rakhtī huuñ polā izār-band
aa jaave is tarah se jo ab har kisī ke haath
vaisā to kuchh nahīñ mirā bholā izār-band
ik raat mere saath vo ayyār makr-bāz
leTī chhupā ke apnā mamolā izār-band
jab so ga.ī to maiñ ne bhī dahshat se us kī aa
pahle to chupke chupke TaTolā izār-band
āḳhir baḌī talāsh se us shoḳh kā 'nazīr'
jab aadhī raat guzrī to kholā izār-band
chhoTa baDa na kam na manjhola izar-band
hai us pari ka sab se amola izar-band
har ek qadam pe shoKH ke zanu ke darmiyan
khata hai kis jhalak se jhakola izar-band
hansne mein hath mera kahin lag gaya to wo
launDi se boli ja mera dho la izar-band
aur dho nahin tu phenk de napak ho gaya
wo dusra jo hai so piro la izar-band
ek din kaha jo main ne ki ai jaan aap ka
hum ne kabhu maze mein na khola izar-band
sun kar lagi ye kahne ki ai wachhaDe che KHush
aisa bhi kya main rakhti hun pola izar-band
aa jawe is tarah se jo ab har kisi ke hath
waisa to kuchh nahin mera bhola izar-band
ek raat mere sath wo ayyar makr-baz
leTi chhupa ke apna mamola izar-band
jab so gai to main ne bhi dahshat se us ki aa
pahle to chupke chupke TaTola izar-band
aaKHir baDi talash se us shoKH ka 'nazir'
jab aadhi raat guzri to khola izar-band
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.