chhoTe bhai se bhi jazbaat nahin milte hain
chhoTe bhaa.ī se bhī jazbāt nahīñ milte haiñ
ḳhuun miltā hai ḳhayālāt nahīñ milte haiñ
kaise aanā huā kyā baat hai sab ḳhair to hai
kyoñ ki sar aap to be-bāt nahīñ milte haiñ
mere jazbāt bhī sachche haiñ irāde mazbūt
ye bhī sach hai kabhī din raat nahīñ milte haiñ
kitnī āñkheñ haiñ jo kar detī haiñ niyyat ko ḳharāb
lekin in meñ bhī ḳharābāt nahīñ milte haiñ
itnā ḳhālī hai vo kamra maiñ jahāñ qaid meñ huuñ
ḳhud-kushī ke liye ālāt nahīñ milte haiñ
kuchh javāboñ se savālāt khaḌe hote haiñ
phir savāloñ ke javābāt nahīñ milte haiñ
chhoTe bhai se bhi jazbaat nahin milte hain
KHun milta hai KHayalat nahin milte hain
kaise aana hua kya baat hai sab KHair to hai
kyon ki sar aap to be-baat nahin milte hain
mere jazbaat bhi sachche hain irade mazbut
ye bhi sach hai kabhi din raat nahin milte hain
kitni aankhen hain jo kar deti hain niyyat ko KHarab
lekin in mein bhi KHarabaat nahin milte hain
itna KHali hai wo kamra main jahan qaid mein hun
KHud-kushi ke liye aalat nahin milte hain
kuchh jawabon se sawalat khaDe hote hain
phir sawalon ke jawabaat nahin milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.