chhoTe se gharondon se kabhi ghar nahin bante
chhoTe se gharondon se kabhi ghar nahin bante
Ghyanender Aggarwal
MORE BYGhyanender Aggarwal
chhoTe se gharoñdoñ se kabhī ghar nahīñ bante
kuchh os kī būñdoñ se samundar nahīñ bante
is soch ko tahrīr ke phūloñ se sajā deñ
lafzoñ kī sajāvaT se suḳhanvar nahīñ bante
yādoñ kī tijorī meñ jo mahfūz nahīñ haiñ
vo kuchh bhī baneñ pyaar ke zevar nahīñ bante
ham tum se mileñge bhī to ḳhāmosh raheñge
ik-tarfa savālāt se manzar nahīñ bante
ḳhush-fahmī kī dīvār girā dījiye ab to
chādar ke binā kaise bhī bistar nahīñ bante
be-kār usūloñ kī qavā.ed meñ phañse haiñ
bandish meñ to insān bhī behtar nahīñ bante
chhoTe se gharondon se kabhi ghar nahin bante
kuchh os ki bundon se samundar nahin bante
is soch ko tahrir ke phulon se saja den
lafzon ki sajawaT se suKHanwar nahin bante
yaadon ki tijori mein jo mahfuz nahin hain
wo kuchh bhi banen pyar ke zewar nahin bante
hum tum se milenge bhi to KHamosh rahenge
ik-tarfa sawalat se manzar nahin bante
KHush-fahmi ki diwar gira dijiye ab to
chadar ke bina kaise bhi bistar nahin bante
be-kar usulon ki qawaed mein phanse hain
bandish mein to insan bhi behtar nahin bante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.