chhoTi chhoTi baaton mein aankhen bhar aati hain
chhoTī chhoTī bātoñ meñ āñkheñ bhar aatī haiñ
yā to ham thoḌe pāgal haiñ yā jazbātī haiñ
sachchā jhūTā nek aur bad haiñ mire ta.āruf sab
ek hī jism meñ kitnī rūheñ gasht lagātī haiñ
sunā hai us tālāb kā paanī baḌā nashīlā hai
sunā hai us meñ pariyāñ aa kar roz nahātī haiñ
kuchh to dard diye haiñ mujh ko duniyā vāloñ ne
lekin kuchh aise ġham haiñ jo mere zaatī haiñ
is bartan kā mailā paanī amrit jaisā hai
is meñ nannhī chiḌiyāñ apnī pyaas bujhātī haiñ
aa pahuñchā huuñ tanhā.ī ke aise jangal meñ
jis meñ ḳhud apnī āvāzeñ lauT ke aatī haiñ
chīḳhtī rahtī haiñ ḳhāmoshī mere hoñToñ par
jis tarah sāhil par lahreñ shor machātī haiñ
shahr meñ aa kar bhī ham apnī miTTī kab bhūle
faḳhr hameñ hai ai 'ḳhālid' ke ham dehātī haiñ
chhoTi chhoTi baaton mein aankhen bhar aati hain
ya to hum thoDe pagal hain ya jazbaati hain
sachcha jhuTa nek aur bad hain mere taaruf sab
ek hi jism mein kitni ruhen gasht lagati hain
suna hai us talab ka pani baDa nashila hai
suna hai us mein pariyan aa kar roz nahati hain
kuchh to dard diye hain mujh ko duniya walon ne
lekin kuchh aise gham hain jo mere zati hain
is bartan ka maila pani amrit jaisa hai
is mein nannhi chiDiyan apni pyas bujhati hain
aa pahuncha hun tanhai ke aise jangal mein
jis mein KHud apni aawazen lauT ke aati hain
chiKHti rahti hain KHamoshi mere honTon par
jis tarah sahil par lahren shor machati hain
shahr mein aa kar bhi hum apni miTTi kab bhule
faKHr hamein hai ai 'KHalid' ke hum dehati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.