chhoTi hi sahi baat ki tasir to dekho
chhoTī hī sahī baat kī tāsīr to dekho
thoḌā sā magar zahr-bujhā tiir to dekho
pal bhar meñ bikhar jā.eñge miTTī ke gharauñde
bachchoñ kī magar hasrat-e-tāmīr to dekho
kis kis ke ta.āqub meñ bhaTaktī rahī āñkheñ
TuuTe hue ik ḳhvāb kī ta.abīr to dekho
lauT ā.eñge phir ghar kī taraf shaam ko panchhī
pairoñ se lipaTtī huī zanjīr to dekho
niklī jo bhañvar se to musāfir the nadārat
TuuTī huī is naav kī taqdīr to dekho
chhoTi hi sahi baat ki tasir to dekho
thoDa sa magar zahr-bujha tir to dekho
pal bhar mein bikhar jaenge miTTi ke gharaunde
bachchon ki magar hasrat-e-tamir to dekho
kis kis ke taaqub mein bhaTakti rahi aankhen
TuTe hue ek KHwab ki tabir to dekho
lauT aaenge phir ghar ki taraf sham ko panchhi
pairon se lipaTti hui zanjir to dekho
nikli jo bhanwar se to musafir the nadarat
TuTi hui is naw ki taqdir to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.