chhup gae tare kahin par aur kahin par raat chhup
chhup gae tare kahin par aur kahin par raat chhup
Sujit Sahgal Haasil
MORE BYSujit Sahgal Haasil
chhup ga.e taare kahīñ par aur kahīñ par raat chhup
aaj din niklā hai aisā sab ga.e naġhmāt chhup
sang-dil hai ye zamāna toḌ Dālegā tujhe
bebasī merī tū chhup jā saḳht haiñ hālāt chhup
jurm terā sāmne duniyā ke aa hī jā.egā
chāhe tū chehra badal yā ghar hī meñ din-rāt chhup
jaal hai pheñkā huā sayyād ne har baaġh meñ
tū hī hai us kā nishāna maan merī baat chhup
thā bahut mā'sūm 'hāsil' kuchh chhupātā hī na thā
āḳhirash kyoñ chup huā vo kyoñ gayā be-bāt chhup
chhup gae tare kahin par aur kahin par raat chhup
aaj din nikla hai aisa sab gae naghmat chhup
sang-dil hai ye zamana toD Dalega tujhe
bebasi meri tu chhup ja saKHt hain haalat chhup
jurm tera samne duniya ke aa hi jaega
chahe tu chehra badal ya ghar hi mein din-raat chhup
jal hai phenka hua sayyaad ne har bagh mein
tu hi hai us ka nishana man meri baat chhup
tha bahut ma'sum 'hasil' kuchh chhupata hi na tha
aaKHirash kyon chup hua wo kyon gaya be-baat chhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.