chhup kar kahin taskin-e-nazar baiTh gaya hai
chhup kar kahīñ taskīn-e-nazar baiTh gayā hai
dekho use DhūñDo vo kidhar baiTh gayā hai
dil kī to vo hālat hai ki kyā tujh ko batā.eñ
sun kar tire jaane kī ḳhabar baiTh gayā hai
is baar to sīdhā hī lagā dil pe nishāna
sīdhā hī tirā tīr-e-nazar baiTh gayā hai
rātoñ ko satāne lagī phir yaad tumhārī
lagtā hai hameñ hijr kā Dar baiTh gayā hai
ham jaisoñ kī phir pūchh parakh hone lagī hai
phir ham meñ koī ahl-e-hunar baiTh gayā hai
maiñ ḳhud hī farishtoñ kī jamā.at se nahīñ huuñ
par mere jo andar thā udhar baiTh gayā hai
chhup kar kahin taskin-e-nazar baiTh gaya hai
dekho use DhunDo wo kidhar baiTh gaya hai
dil ki to wo haalat hai ki kya tujh ko bataen
sun kar tere jaane ki KHabar baiTh gaya hai
is bar to sidha hi laga dil pe nishana
sidha hi tera tir-e-nazar baiTh gaya hai
raaton ko satane lagi phir yaad tumhaari
lagta hai hamein hijr ka Dar baiTh gaya hai
hum jaison ki phir puchh parakh hone lagi hai
phir hum mein koi ahl-e-hunar baiTh gaya hai
main KHud hi farishton ki jamaat se nahin hun
par mere jo andar tha udhar baiTh gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.