chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
chhupā hai karb-e-musalsal havā ke lahje meñ
koī to phuul khilā.e du'ā ke lahje meñ
maiñ us kī qadr karūñgā jo mere aiboñ ko
mire hī muñh pe kahe āshnā ke lahje meñ
zamāna aaj bhī qāsir hai ye samajhne se
safar kī baat huī kyuuñ havā ke lahje meñ
hamāre dard kā andāza us ko kyā hogā
ki ashk hote nahīñ haiñ vafā ke lahje meñ
hai e'tirāf ki aksar ulajh paḌe jis se
vo mehrbān huā hai du'ā ke lahje meñ
mirī nazar meñ rahā hai jo mohtaram 'anjum'
vahī hai mujh se muḳhātab sazā ke lahje meñ
chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
koi to phul khilae du'a ke lahje mein
main us ki qadr karunga jo mere aibon ko
mere hi munh pe kahe aashna ke lahje mein
zamana aaj bhi qasir hai ye samajhne se
safar ki baat hui kyun hawa ke lahje mein
hamare dard ka andaza us ko kya hoga
ki ashk hote nahin hain wafa ke lahje mein
hai e'tiraf ki aksar ulajh paDe jis se
wo mehrban hua hai du'a ke lahje mein
meri nazar mein raha hai jo mohtaram 'anjum'
wahi hai mujh se muKHatab saza ke lahje mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.