chhupa har chand tera dard-e-pinhan hum samajhte hain
chhupa har chand tera dard-e-pinhan hum samajhte hain
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
chhupā har chañd terā dard-e-pinhāñ ham samajhte haiñ
ki sach hai ahl-e-ġham hī dūsroñ kā ġham samajhte haiñ
koī ham sā na hogā chāhne vaalā tujhe hamdam
namak-pāshī ko terī zaḳhm kā marham samajhte haiñ
mufakkir falsafī sciencedāñ jo bhī samajhte hoñ
jahāñ ko ham ma.āl-e-laġhzish-e-ādam samajhte haiñ
kabhī nāzuk masā.il par na karnā guftugū un se
na.e fitne jagāyā karte haiñ jo kam samajhte haiñ
har afsāne meñ hai pinhāñ mire ġham kā koī pahlū
tabhī to sab mire ġham ko ġham-e-ālam samajhte haiñ
chhupa har chand tera dard-e-pinhan hum samajhte hain
ki sach hai ahl-e-gham hi dusron ka gham samajhte hain
koi hum sa na hoga chahne wala tujhe hamdam
namak-pashi ko teri zaKHm ka marham samajhte hain
mufakkir falsafi sciencedan jo bhi samajhte hon
jahan ko hum maal-e-laghzish-e-adam samajhte hain
kabhi nazuk masail par na karna guftugu un se
nae fitne jagaya karte hain jo kam samajhte hain
har afsane mein hai pinhan mere gham ka koi pahlu
tabhi to sab mere gham ko gham-e-alam samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.