chhupa hua tha magar aashkar hona paDa
chhupā huā thā magar āshkār honā paḌā
ye jang jiit ke mujh ko farār honā paḌā
savārī koī mayassar thī kab safar ke liye
so apne sar pe hī mujh ko savār honā paḌā
ye sochtā huuñ kahīñ is kī vaj.h maiñ to nahīñ
ye dar-ba-dar jo mujhe baar baar honā paḌā
shadīd choT se āñkheñ phaTī rahīñ merī
isī liye mujhe zinda shumār honā paḌā
vo ik ḳhushī jo akelī bhaTaktī phir rahī thī
ġhamoñ ke saath use ham-kanār honā paḌā
ye des bhī mujhe pardes kī tarah milā hai
mujhe vatan meñ ġharīb-ud-dayār honā paḌā
kiyā hai andhā tire din kī raushnī ne mujhe
mire vajūd ko andar se ġhaar honā paḌā
ye umr kam thī tirī raah dekhne ke liye
isī liye to hameñ sharmsār honā paḌā
us aa.ine ne mujhe aks meñ chhupā liyā thā
so aa.ine ke mujhe ār-pār honā paḌā
jab is qatār ke agle sire pe pohñch gayā
mujhe qatār se phir be-qatār honā paḌā
chhupa hua tha magar aashkar hona paDa
ye jang jit ke mujh ko farar hona paDa
sawari koi mayassar thi kab safar ke liye
so apne sar pe hi mujh ko sawar hona paDa
ye sochta hun kahin is ki wajh main to nahin
ye dar-ba-dar jo mujhe bar bar hona paDa
shadid choT se aankhen phaTi rahin meri
isi liye mujhe zinda shumar hona paDa
wo ek KHushi jo akeli bhaTakti phir rahi thi
ghamon ke sath use ham-kanar hona paDa
ye des bhi mujhe pardes ki tarah mila hai
mujhe watan mein gharib-ud-dayar hona paDa
kiya hai andha tere din ki raushni ne mujhe
mere wajud ko andar se ghaar hona paDa
ye umr kam thi teri rah dekhne ke liye
isi liye to hamein sharmsar hona paDa
us aaine ne mujhe aks mein chhupa liya tha
so aaine ke mujhe aar-par hona paDa
jab is qatar ke agle sire pe pohnch gaya
mujhe qatar se phir be-qatar hona paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.