chhupa raha hun jo aankhon ka nam zaruri hai
chhupā rahā huuñ jo āñkhoñ kā nam zarūrī hai
kahīñ kahīñ pe kisī kā bharam zarūrī hai
abhī abhī to mohabbat ne haath chhoḌā hai
kisī kā saath qadam do qadam zarūrī hai
kisī kā haath ho sar par zarā pata to chale
kuchh aur ho na ho ghar par 'alam zarūrī hai
laboñ pe jaan hai āyāt-e-'ishq vird kareñ
ki aise lamhoñ meñ murshid ye dam zarūrī hai
barā.e yaar to ham sādgī ke paikar haiñ
barā.e duniyā tabī'at meñ ḳham zarūrī hai
nahīñ magar koī 'shahbāz' zindagī ke liye
jise bhī maan le dil mohtaram zarūrī hai
chhupa raha hun jo aankhon ka nam zaruri hai
kahin kahin pe kisi ka bharam zaruri hai
abhi abhi to mohabbat ne hath chhoDa hai
kisi ka sath qadam do qadam zaruri hai
kisi ka hath ho sar par zara pata to chale
kuchh aur ho na ho ghar par 'alam zaruri hai
labon pe jaan hai aayat-e-'ishq wird karen
ki aise lamhon mein murshid ye dam zaruri hai
barae yar to hum sadgi ke paikar hain
barae duniya tabi'at mein KHam zaruri hai
nahin magar koi 'shahbaz' zindagi ke liye
jise bhi man le dil mohtaram zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.