chhupa rakhi hai koi shai koi manzar daraKHton par
chhupā rakhī hai koī shai koī manzar daraḳhtoñ par
balā.eñ DhūñDhtī haiñ phir koī paikar daraḳhtoñ par
havā ḳhāmosh thī lekin har ik pattā laraztā thā
achānak TuuT kar barse the yuuñ patthar daraḳhtoñ par
na-jāne kaun sī vaadī meñ gum haiñ ye chaman vaale
parinde DhūñDte haiñ phir na.e manzar daraḳhtoñ par
sahar hone se pahle bhiig jaatī haiñ fazā.eñ bhī
bichhā jaatā hai shabnam kā koī bistar daraḳhtoñ par
yahī TuuTe hue par āshiyāne meñ koī rakh de
zamāna DhūñDhtā hai phir hamārā ghar daraḳhtoñ par
chhupa rakhi hai koi shai koi manzar daraKHton par
balaen DhunDhti hain phir koi paikar daraKHton par
hawa KHamosh thi lekin har ek patta larazta tha
achanak TuT kar barse the yun patthar daraKHton par
na-jaane kaun si wadi mein gum hain ye chaman wale
parinde DhunDte hain phir nae manzar daraKHton par
sahar hone se pahle bhig jati hain fazaen bhi
bichha jata hai shabnam ka koi bistar daraKHton par
yahi TuTe hue par aashiyane mein koi rakh de
zamana DhunDhta hai phir hamara ghar daraKHton par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.