chhupae kya koi dard-e-jigar ko
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira Talamiza Safi 1950)
chhupā.e kyā koī dard-e-jigar ko
mohabbat rang detī hai nazar ko
tumhārā husn tum par kab khilā thā
duā.eñ do mere zauq-e-nazar ko
payām-e-ahl-e-dil kyā jaane koī
nazar vaale samajhte haiñ nazar ko
buland itnā to ho zauq-e-tamāshā
nigāh-e-husn ḳhud DhūñDe nazar ko
zarā ruk ruk ke har parda uThānā
kahīñ jalve na gum kar deñ nazar ko
salāmat inqilābāt-e-zamāna
na.ī rāheñ milīñ fikr-o-nazar ko
jahāñ hotī hai dil ko raah dil se
nazar pahchān letī hai nazar ko
nazar de to shu.ūr-e-dīd bhī de
nahīñ to kyā karūñ le kar nazar ko
tajallī ḳhud nazar bantī hai lekin
miTā kar etibārāt-e-nazar ko
unheñ dekhe mujassam diid ho kar
shu.ūr itnā kahāñ hai har nazar ko
ḳhayāl un kā jahāñ bhī 'shauq' aayā
nazar tai kar ga.ī hadd-e-nazar ko
chhupae kya koi dard-e-jigar ko
mohabbat rang deti hai nazar ko
tumhaara husn tum par kab khila tha
duaen do mere zauq-e-nazar ko
payam-e-ahl-e-dil kya jaane koi
nazar wale samajhte hain nazar ko
buland itna to ho zauq-e-tamasha
nigah-e-husn KHud DhunDe nazar ko
zara ruk ruk ke har parda uThana
kahin jalwe na gum kar den nazar ko
salamat inqilabaat-e-zamana
nai rahen milin fikr-o-nazar ko
jahan hoti hai dil ko rah dil se
nazar pahchan leti hai nazar ko
nazar de to shuur-e-did bhi de
nahin to kya karun le kar nazar ko
tajalli KHud nazar banti hai lekin
miTa kar etibaraat-e-nazar ko
unhen dekhe mujassam did ho kar
shuur itna kahan hai har nazar ko
KHayal un ka jahan bhi 'shauq' aaya
nazar tai kar gai hadd-e-nazar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.